''duniya main itne dard kyo hain, aur har dil ko gam kyo hain, jakham yadi sarir par ho to bhar jaaye par, dil ka jakham taumar na bharne se aankhe nam hain..
''kisi ne kaha ki tutega mera har sapna, kisi ko kase samjhaye ki tab dil tutega aapna, royege hum tab bethkar akele main, par koi sayad sath na hoga koi aapna...
Tahna ho kabhi toh muijhe dhund leena, Duniya se nahi apne Dil se puch lena, Aapke aas pass hi kahi rehte hai, Yaadon se nahi sath guzare lamho se puch lena.
Socha tha iss kadar unko bhula jeyenge, dhek kar bhi andekha kar jayenge, par jab jab aaya samne unka chehra, socha iss baar dekle agli baar bhul jayenge…
Zindagi ke Modh par ek aisa waqt aata hai, jab insaan apne-aapko tanha paata hai, Wahi tanhayia toh batati hain, ki kaun kiska kitna saath nibhata hai…
Gham ki andhiyon me doob jayenge, sagar kya samandar me Utar jayenge, Hume marne ke liye Zaher ki nahi zarurat, Dil se nikal doh, Hum yuhi mar jayenge…
Udhas na baitho fiza tang karegi, Guzre hua lamha ki saza tang karegi, Kisi ko na lao dil ke itne kareeb, Uske jaane ke baad, Uski har ek aada tang karegi n its true!
Phool ki shuruwat kali se hoti hai, zindagi ki shuruvat dosti se hoti hai, dosti ki shuruvat apno se hoti hai aur apno ki shuruvat aap se hoti hai…
Roshini kab kam hui pata na chala, Khushi kab Gham hui pata na chala, Tumhari (Jiten ki) yaado me khoye khuch is tarah, Aankhne kab nam hui pata na chala
Wada humne kiya tha nibhane ke liye, ek dil diya tha ek dil paane ke liye… unhone mohabbat sikhla di aur kaha humne toh mohabbat kit hi tumhe azmane ke liye…
Kabhi jazbaat toh kabhi yaado ko dafan karte hai, kabhi aansu toh kabhi dard piya karte hai, mohtaz toh nahi hum, phir bhi aapke phone ka intezar kiya karte hai…
Zindagi me hamesha haste raho, hasna zindagi ki zarurat hai, tum zindagi jiyo toh is andaz me, ki tumhe dekhkar sabko lage ki zindagi kitni khubsurat hai…
Meethi si hawa lagi abhi abhi, Kya aapne yaad kiya abhi abhi? Aapse milne ki kismat hui hamari, achaha laga aap mil kar gaye abhi abhi…
Kya Mangu rabse aapki dosti pane ke baad, Kiska karu intezar aapke aane ke baad, Kyu dosti me jaan luta dete hai log, Malum hua aapko dost banane ke baad…
Neend apni khokar sulaya tumko, ansu apne girakar hasaya tumko, Dard kabhi na dena us BHAGWAN ko, Zamana kehta hai MAA-BAAP jisko…
